
Haar Jaana, Marr Jaana Nahi Hota
शा'इराना अंदाज़ में आपकी नज़र करतें हैं
Versandkostenfrei!
Versandfertig in über 4 Wochen
13,99 €
inkl. MwSt.
PAYBACK Punkte
7 °P sammeln!
jindgi sangharshon ka jaal hai, isme rehne ki kala hai, jo is kala me nipun ho jaaten hain vo jindgi ke maksad ko samjh laite hain. jo is kala ko nahi seekh paate vo saflta aur khushi ke liye taraste rehten hain, aur ye tarsana hi bohut dukhdaaee hota hai. jindgi jaise bhi jeo, gujar jaati hai, gujarne ke baad to, sirf raakh hi reh jaati hai. jindigi bohut keemti hai, jindgi ko samjho, khud ko jaano aur khud ko naya bana do, brahmaand ne sab me kuchh naya racha hai, khud ko jaahir karo, ye kaam sirf aapka apna hai. har shakhs ki samasya ka samadhaan isi jahaan me hai, maaus hona thodi der ke l...
jindgi sangharshon ka jaal hai, isme rehne ki kala hai, jo is kala me nipun ho jaaten hain vo jindgi ke maksad ko samjh laite hain. jo is kala ko nahi seekh paate vo saflta aur khushi ke liye taraste rehten hain, aur ye tarsana hi bohut dukhdaaee hota hai. jindgi jaise bhi jeo, gujar jaati hai, gujarne ke baad to, sirf raakh hi reh jaati hai. jindigi bohut keemti hai, jindgi ko samjho, khud ko jaano aur khud ko naya bana do, brahmaand ne sab me kuchh naya racha hai, khud ko jaahir karo, ye kaam sirf aapka apna hai. har shakhs ki samasya ka samadhaan isi jahaan me hai, maaus hona thodi der ke liye thik hai, maaus ho kar jindgi gujarna thik nahi, agar teri samasya ka hall mujhe nahi milta, to tu aur maaus na ho, main to teri rah me ek tajurba hun, aur dusre bhi kai aur hall tujhe millegen, tu khud ko khud me, talashne ke safar me nikal ja, tujhe mujh se bhi aur jyada acche tajurbe milegen. tu aur maaus na ho, har shakhs ki samasya ka samadhaan isi jahaan me hai. yeh pustak safalta aur asfalta, khushi aur khvahishen, khyaalon ka khula aasma, rishton ke tutte pehluon ki tasveer aur bhi bohut kucch byaan karti hai. jazbaaton, khvahishon aur khyaalon ke timtimaate sitaaron ko zehan ke khule aasma se sehj kar is pustak me pirone ki koshish ki hai aur yeh koshish khud-b-khud aage badti gyi aur jazbaaton ka safar aap tak pohunch gya.