
Ek ladke ki Ankahi Kahani
Versandkostenfrei!
Versandfertig in über 4 Wochen
13,99 €
inkl. MwSt.
PAYBACK Punkte
7 °P sammeln!
"Ladke Ki Ankahee Kahani" - Ek awaaz, jo hamesha thi... bas kisi ne suni nahi. Humein bachpan se sikhaya jaata hai - ladke strong hote hain, ladke nahi rote, ladko ko tough banna chahiye. Lekin kabhi kisi ne yeh socha - ek ladka andar hi andar kya mehsoos karta hai? Yeh kitaab unhi emotions, unhi confusion aur unhi struggles ki kahani hai jo har ladke ke andar palte hain-lekin kabhi zubaan tak nahi aate. Shivam Jaiswal, ek samarpit teacher aur youth guide, ne Uttar Pradesh ke gaon-gaon mein hazaaron students ke saath kaam kiya hai. Unke experiences ne is kitaab ko janam diya-jo ek simple story...
"Ladke Ki Ankahee Kahani" - Ek awaaz, jo hamesha thi... bas kisi ne suni nahi. Humein bachpan se sikhaya jaata hai - ladke strong hote hain, ladke nahi rote, ladko ko tough banna chahiye. Lekin kabhi kisi ne yeh socha - ek ladka andar hi andar kya mehsoos karta hai? Yeh kitaab unhi emotions, unhi confusion aur unhi struggles ki kahani hai jo har ladke ke andar palte hain-lekin kabhi zubaan tak nahi aate. Shivam Jaiswal, ek samarpit teacher aur youth guide, ne Uttar Pradesh ke gaon-gaon mein hazaaron students ke saath kaam kiya hai. Unke experiences ne is kitaab ko janam diya-jo ek simple story nahi, balki har ladke ka aaina hai. Padhiye yeh kitaab agar- Aapne kabhi yeh socha hai ki ladko ko rona kyu mana hota hai. Aap samajhna chahte hain ki ek ladka andar se kya sochta hai. Aap youth ke emotions ki asli gehraiyon ko mehsoos karna chahte hain. "Ladke Ki Ankahee Kahani" sirf ek kitaab nahi-yeh ek jazba hai, ek sachchai ka darpan hai, ek chup rehne wali duniya ki awaaz hai.