
Man Darpan
A Book of Social Media Stories
Versandkostenfrei!
Versandfertig in über 4 Wochen
10,99 €
inkl. MwSt.
PAYBACK Punkte
5 °P sammeln!
"Man Darpan" ek aisi kitaab hai jo ek vayask ke jeevan ke us mahatvapurn kaal, yaani 18 se 25 varsh tak, ki bhavnaon, vicharon aur ehsaason ko vyakt karti hai. Yeh kitaab un jazbaaton aur uljhanon ka sangrah hai, jo ek aam vyakti ke mann mein tab utpann hote hain jab woh apni zindagi ke aham modon se guzar raha hota hai. Ismein woh baatein bhi chhupi hain, jinhe log apne dil mein to mehsoos karte hain, lekin shabdon mein nahi keh paate. Kitaab ki rachnayein pathak ko apne antar mann ke kareeb laati hain. Yeh kavitaayein na keval prem, darshan, prerana aur prakritik sundarta ko darshati hain, b...
"Man Darpan" ek aisi kitaab hai jo ek vayask ke jeevan ke us mahatvapurn kaal, yaani 18 se 25 varsh tak, ki bhavnaon, vicharon aur ehsaason ko vyakt karti hai. Yeh kitaab un jazbaaton aur uljhanon ka sangrah hai, jo ek aam vyakti ke mann mein tab utpann hote hain jab woh apni zindagi ke aham modon se guzar raha hota hai. Ismein woh baatein bhi chhupi hain, jinhe log apne dil mein to mehsoos karte hain, lekin shabdon mein nahi keh paate. Kitaab ki rachnayein pathak ko apne antar mann ke kareeb laati hain. Yeh kavitaayein na keval prem, darshan, prerana aur prakritik sundarta ko darshati hain, balki jeevan ke un ankahe pehluon ko bhi ujagar karti hain jinhe hum shabdon mein vyakt karne se katraate hain. "Man Darpan" ka uddeshya pathako ko apne andar jhaankne aur apni bhavnaon ko samajhne mein madad karna hai. Yeh kitaab ek prayaas hai, jisse pathak apni samasyaon ka hal dhoondhne aur apne jeevan ko behtar banane ke liye prerit ho sakein. "Man Darpan" ke madhyam se, mujhe ummid hai ki pathak apne mann ke is darpan ko dekhenge aur use aur spasht roop se samajh paayenge. "Aankhon ko bhi na jaane, kaisa manzar chahiye Jo man bana hi nahi, us man ka darpan chahiye." Yeh kitaab aapke mann ki gehraiyon ko samajhne aur khud ko jaanne ki yatra hai.